Chip Chip ashru bahaane waalon
Moti vyarth lutane waalon !
Kuch sapnon ke mar jane se,
jeevan nahin mara karta hai
Sapnaa kya hai ?
Nayan sez par,Soya hua aankh ka paani,
Aur tootna hai uska jyonJage kachchi neend jawani.
Geelee umar banaane walon! Doobe bina nahaane waalon,
Kuch pani ke bah jane se saawan nahin mara karta hai.
Mala bikhar gayi to kya hai,
Khud hi hal ho gayi samasyaa .
Aansoo gar neelaam huye to,
Samjho poori huyi tapasyaa.
Roothe divas manaane walon!
Phati kameez silaane waalon!
Kuch deepon ke bujh jaane se ,
aangan nahin mara karta hai.
Khota kuch bhi nahin yahan par.
Kewal zild badaltee pothee .
Jaise raat utaar chandani,
Pehne subah dhoop ki dhoti.
Vastra badal kar aane waalon !
Chaal badalkar jaane waalon!
Chand Khilounon ke khone se ,
bachpan nahin maraa karta hai.
Laakhon baar gagriyaan phooteen.
Shikan na aayi panghat par.
Lakhon baar kishtiyaan doobeen.
Chahal-pehal wo hi hai tat par .
Tam ki umra badhaane waalon!
Lau ki aayu ghatane waalon !
Laakh kare patjhad koshish par,
upvan nahin maraa kartaa hai .
Loot liya maali ne upvan,
Luti na lekin gandh phool ki.
Toofaanon tak ne cheda par,
Khidki band na huyi dhool kee.
Nafrat gale lagaane waalon!
Sab par dhool udaane waalon,
Kuch mukhdon ki naaraazee se ,
darpan nahin maraa karta ha.
iChip Chip ashru bahaane waalon ,
Moti vyarth lutane waalon !
Kuch sapnon ke mar jane se,
jeevan nahin mara karta hai .
Gopal Das 'Neeraj'
No comments:
Post a Comment