Tuesday, December 30, 2008

Random notes

Random notes (in India)


Scene 1: At Airport, custom check.
Checker(C): Ruk jao , ruk jao.
Me: ok ji.
C : Bag mein laptop hai?
Me: haanji.
C: ek ya do?
Me: ek
C: Aur bhi kuch hai?
Me: Ek camera hai.
C: Aur koi electronic hai?
Me: Haan, mouse, headphone, pendrive vagiarah hai.
C: akele ho ya family ke saath ho?
Me: Akela hoon.
C: X ray scan karna padega.
Me: Theek hai, kar lete hain.
C: Time lag jayega, yehin set kar lete hain.
Me: Koi nahin, mere paas bahut time hai.
C: Kuch yehin pe kar dete hain.
Me: Jo bhara hai custom form mein, woh poora sahi hai. Everything is under limits.
C: Dekh lo. Yahan pe karoge toh sahi rahega.
Me. Nahin Xray scan kar lete hain.
C: Kya karte ho?
Me: student hoon.
C: student ho! theek hai, chalo jao.
Me: ok.

------------------------------------------------------------------------

Scene 2: Inside the plane. The guy sitting next to me wants my help to fill the customs form.

Next guy(NG): Zarra dikhaoge apna form, muhe bhi bharna hai.
Me: Theek hai.
NG: Aap bhi USA se ho?
Me: haan
NG: Aap ke paas green card hai?
Me: Nahin. Aapke paas hai?
NG: haan hai.
Me: Kya karte hain aap US mein?
NG: Gas station pe kaam karta hoon.
Me: Kitne saal ho gaye aap ko US gaye hue?
NG: 4.
Me: 4 saal mein aa gaya? Maine to suna tha 5 lagte hain.
NG: Mera green card toh 1 mahine mein aa gaya tha US aane ke baad. Mere uncle meri poori family ko le aaye the US. Mere parents toh ab wapas aa gaye green card banane ke baad.
Me: hmmm.


-------------------------------------------------------------------------------


Scene 3: Opened television for the first time here. Saw a show aap ki kachehri with Kiran bedi as the judge.

[ Instantly it reminded me of Judge Judy/Judge Brown in US tv. I had predicted that Indian TV will also adopt it soon, this is the start. A little more thought and i was reminded of Aaap ki Adalat but it was based on calling only high profile people and the handling was quite decent. On the other hand, aap ki kachehri is a total copy with cases dealing with common people. As in the US shows, it is a mockery of the people fighting the case. I wonder how and why Kiran Bedi agreed to this one?]

[ What next? Jerry Springer show? Or is going to sink further lower??]


---------------------------------------------------------------------------------------
[Crossing streets is the most difficult task to adjust between US and India]
-----------------------------------------------------------------------------------------

3 comments:

Gursharan Singh said...

The student formula works best with customs :), even if one really is carrying stuff ;)

arvind batra said...

Agreed. But what baffled me most was his audacity to ask.

Rohit said...

Hehe, kind of gives me the picture what to expect when I go back!