Sunday, December 16, 2007

Shadi

Shaadi

yeh dikhawat ka karobaar, yeh har cheez ka tolna
shaadi ki ahmaiyat ko, party ke jor se molna
yeh shopping ke listein, yeh zevaron ka design,
woh ek dukaan se doosre dukaan mein ghoomna
ek taraf ladki ke jaane ka gam,
doosri aur bank balance hota hai kam
chinta har waqt satane lagti hai,
shadi jaisa pavitra utsav bhi,  ab ek pareshani lagti hai.


hum kaafi aage nikal aaye hain
dehej ko ab nahin hain maante
lena dena toh ab ek pratha hai,
bhala yeh bhi koi bolne ki aavshyakta hai,
unkahe shabd kehet vaqyon se bade hote hain
ladki waale inke matlab hi boojhte rehte hain
saaksharta kisi kaam na aati,
padhe likhe naujavanon se bhi mana nahin ki jaati,
ladki bhi apne baap se aankhein milate hue hai katrati,
zara socho us pita ki laachari,
jeevan bhar ki mehnet bhi use ab kam lagti hai,
parakram poorn zindagi bhi ab asafal  lagti hai.



arey! tum toh bhool hi gaye,shaadi ka lutf kya hota hai
woh neeche gol banake sabka baithna,
chai peete peete thahake marana,
woh nani se mummy ki sharatein sunna,
woh bua ka seene mein jake lipatna,
woh chote bachhon ka gaddon pe ludakna,
har choti choti rasmon ka nibhana
woh har peher koi nach gaana
har ek ki aankhon pe chamak, chehre pe muskaan.
woh choton ko pyar dena aur badon ko samman!

arey! tum toh do gali chodd ke rehne wale
apni dost ke beti ke shaadi mein na ja sake,
ek din daftar se jaldi ghar na aa sake,
bahane hazaar soche,
milne ka ek khayal na soch sake.
tumhare intezaar mein ab bhi koi raha dekhta hai,
andar hi andar, ummeed se aansuon ko badthta hai
tunhare bina har mehfil sooni lagti hai
lakhon rupyon ki yeh shadi bhi ab adhoori lagti hai.

3 comments:

manish kumar narang said...

Kya baat hai !!!!. BAHUT badiya hai janab

aman said...

wah kya baat hai....bahut mazedaar hai

shaadi ki baat ho..to maine socha khaane ki baat bhi ki jaye..

"Woh badi si kadhai mein
malai waala doodh
Woh garam garam jalebi pe
rabdi dalwaana
Woh naan, shahi paneer,
daal makhni ke pateele
Bachpan mein khoob loota
shaadi ka khaana"

arvind batra said...

@manish!

thanks for your appreciation!

@aman

yes, food! it is also one of the main points! it didnt strike me while i was writing it!